Ab kya kya bhulaayen...

Zamana kahe,
Bhool ja....
Par koi hamen yeh batalaayen,
Ki bhulaayen kya...

Unki baatein bhulaayen ?
Unki baatein to dil ki dhadkan hai...

Unki yaadein bhulaayen ?
Unki yadein toh saans hai...

Unka Junoon bhulaayen ?
Unka junoon hi to jindagi hai...

Agar inhe bhulaakar bhi,
zinda reheneka hai koi raasta,
to koi woh simt dikhlaayen...
jindagi meri us shaks par meherbaan...

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home